Happy 12:00:00 AM 17 Mar, 2017

Neta JI Ki Car Ka Accident - Political Jokes
Neta ji gaanv mein sabha karne ja rahe the lekin gaanv se pehle hi unki car ke neeche ek kutta aa gaya.

Kutta mar gaya lekin car bhi accident ki wajah se kharab ho gayi

Neta ji ne driver ko madad laane ke liye gaanv mein bheja.

Thodi der baad jab driver lauta to uske gale mein dher saari malayein padi thi.

Neta ji ne poochha ki toone aisa kya kiya jo tera itna samman hua?

Maine to sirf itna kaha ki neta ji ki car ka accident ho gaua hai.....
Kutta mar gaya....

Related to this Post: